Umair Najmi Urdu Shayari – Umair Najmi Sad Love Poetry

poetrywolrd.com is sharing the Umair Najmi Urdu Shayari collection with you today. Umair Najmi Urdu Poetry Qadeem Khwabon Ki Rohain Magar Nahi Niklein Agarchy Ankhon Py Karwaye Dam Darood Buhat.

عمیر نجمی اردو شاعری

تبھی تو دھندلی ہیں اُس کی، مری حدود، بہت پڑھا ہے فلسفہِ وحدت الوجود بہت

یہ سن کے مکتبِ وحشت میں داخلہ لیا تھا پڑھائی کم ہے وہاں اور کھیل کود بہت

اداسیوں کا تعفن رہا وہیں کا وہیں جلایا کمرے میں لوبان اور عود بہت

جنوں کے مالی ادارے سے قرض مت لینا میں لے چکا ہوں اور اِس پر ہے شرحِ سود بہت

وہ ذات حق ہے اور اُس پاک ذات کے حق میں کوئی ثبوت نہیں ہے مگر شہود بہت

قدیم خوابوں کی روحیں مگر نہیں نکلیں اگرچہ آنکھوں پہ کروائے دم درود بہت

عمیر! شعر میں اب شور ہے بجائے شعور نمو تو کم ہے سخن میں ترے، نمود بہت

عمیر نجمی

Read More:- Urdu Romantic Poetry By Bakish Nasikh

Umair Najmi Urdu Shayari

Tabhi To Dhoond Ly Hain Us Ki, Meri Hadood, Buhat Paraha Hai Falsafa-E-Wahdat-Ul-Wajood Buhat

Ye Sun K Maktab-E-Wahshat Main Daakhla Liya Tha Parahi Kam Ha Wahan Or Khail Kood Buhat

Udaasion Ka taaFuun Raha Wahin Ka Wahin Jaalaya Kamray Main Lobaan Aur Oud Buhat

Junoon ky Maali Edaray Sy Qarz Mat Lena Main Ly Chuka Hun Or Is Par Hai sharh-e-Sood Buhat

Woh Zaat Haq Hai Or Us Pak Zaat Ky Haq Mein Koi Saboot Nahi Hai Magar Shahood Bahut

Qadeem Khwabon Ki Rohain Magar Nahi Niklein Agarchy Ankhon Py Karwaye Dam Darood Buhat

Umair ! Shair Main Ab Shor Hai bajaye shahoor Namu To Kam Hai Sukhan Mein Tere, Namood Bahut

Umair Najmi

If you like our Umair Najmi Urdu Shayari collection than share it with your friends, Family and also share it on Facebook.

Read:- 2 Lines Sad Poetry In Urdu

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *